Android app ko yadi aap apne computer me chalane chahte hai to uske liye aap ko apne computer me kuch setting karni hongi yadi aap ye kar lete hai to aap ke computer me bhi android  app aapke computer me chala skte hai.
Android app aaj ke time me bahut popular ho raha hai kyonki duniya me android app developer aur user daily naye naye aa  rhe hai aur log use use bhi kar rhe hai android app ko develop karna bhi bahut asan hota hai, Android operating system se aaj kal bahut sare app roj ban rahe hai aur log use bahut jyada pasnad bhi kar rhe hai, aur jyada tar mobile app banana wali company bhi android app hi bana rahi hai , es app ko download karna bhi bahut asan hota hai, Android app yadi aap download karna chahte hai to aap ko playstore pe jakar search karna honga aur uske bad use aap download kar ke use bhi kar sakte hai, lekin yadi ap android app ko apne pc ya laptop ya computer me install karana chahte hai to kaise kar sakte hai aaj me aapko bataunga ki kaise aap android app ko apne PC me install kar sakte hai